Shayari
kahin zamin se ta'alluq na khatm ho jaae
bahut na khud ko havaa mein uchhaaliye saahib
baiThe raho kuchh der abhi aur muqaabil
armaan abhi dil ke hamaare nahin nikle
بیٹھے رہو کچھ دیر ابھی اور مقابل
ارمان ابھی دل کے ہمارے نہیں نکلے
बैठे रहो कुछ देर अभी और मुक़ाबिल
अरमान अभी दिल के हमारे नहीं निकले

kahin zamin se ta'alluq na khatm ho jaae
bahut na khud ko havaa mein uchhaaliye saahib
ek din bhige the barsaat mein ham tum donon
ab jo barsaat mein bhigoge to yaad aaungaa
main thaa kisi ki yaad thi jaam-e-sharaab thaa
ye vo nashist thi jo sahar tak jami rahi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin