Shayari
vo na aae to tu hi chal 'rangin'
is mein kyaa teri shaan jaati hai
R
Rangin Saadat Yaar Khanbaadal aae hain ghir gulaal ke laal
kuchh kisi kaa nahin kisi ko khayaal
بادل آئے ہیں گھر گلال کے لال
کچھ کسی کا نہیں کسی کو خیال
बादल आए हैं घिर गुलाल के लाल
कुछ किसी का नहीं किसी को ख़याल
vo na aae to tu hi chal 'rangin'
is mein kyaa teri shaan jaati hai
mana karte ho abas yaaro aaj
us ke ghar jaaeinge par jaaeinge ham
zulm ki Tahni kabhi phalti nahin
naav kaaghaz ki kahin chalti nahin
jhuTaa kabhi na jhuTaa hove
jhuTe ke aage sachchaa rove
hai ye duniyaa jaa-e-ibrat khaak se insaan ki
ban gae kitne subu kitne hi paimaane hue
paa-bos-e-yaar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamaare mazaar par
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
inqalaab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil
pattharon ko de rahe hain aaine khul kar javaab
basti ke hassaas dilon ko chubhtaa hai
sannaaTaa jab saari raat nahin hotaa
ishq mein dil kaa ye manzar dekhaa
aag mein jaise samundar dekhaa
tumhin bataao ki is dil kaa kyaa kiyaa jaae
jo choT khaa ke bhi choTon se aashnaa na huaa