Shayari
uD jaaungaa bahaar mein maanind-e-bu-e-gul
zanjir mere paa-e-junun mein hazaar Daal
R
Raunaq Tonkviaaj qaatil kaa gale par mire khanjar chamkaa
lillaahil-hamd ki meraa bhi muqaddar chamkaa
آج قاتل کا گلے پر مرے خنجر چمکا
للہ الحمد کہ میرا بھی مقدر چمکا
आज क़ातिल का गले पर मिरे ख़ंजर चमका
लिल्लाहिल-हम्द कि मेरा भी मुक़द्दर चमका
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
usi ke honTon ke phuul baab-e-qubul chumein
so ham uThaa laaein ab ke harf-e-duaa usi kaa
abhi chhiDe hi na the tazkire bahaaron ke
shuaa-e-husn se suljhe na the dimaagh abhi
ham to us vaqt samajhte hain ki aati hai bahaar
dasht se jab koi jhankaar si aa jaati hai