Shayari
aaj qaatil kaa gale par mire khanjar chamkaa
lillaahil-hamd ki meraa bhi muqaddar chamkaa
R
Raunaq TonkviuD jaaungaa bahaar mein maanind-e-bu-e-gul
zanjir mere paa-e-junun mein hazaar Daal
اڑ جاؤں گا بہار میں مانند بوئے گل
زنجیر میرے پائے جنوں میں ہزار ڈال
उड़ जाऊँगा बहार में मानिंद-ए-बू-ए-गुल
ज़ंजीर मेरे पा-ए-जुनूँ में हज़ार डाल
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa