Shayari
daaman bachaa ke aaiyo mere mazaar tak
ai jaan-e-nau-bahaar uge hain idhar babul
ajiib vaqt hai ab doston ke chaaqu ko
mire qalam ki nahin ungliyon ki hasrat hai
عجیب وقت ہے اب دوستوں کے چاقو کو
مرے قلم کی نہیں انگلیوں کی حسرت ہے
अजीब वक़्त है अब दोस्तों के चाक़ू को
मिरे क़लम की नहीं उँगलियों की हसरत है

khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
firaaq-e-yaar ke dukhDe sunaaeinge kab tak
ki saama'in bhi mauzu' jadid chaahte hain
firaaq-e-yaar ne bechain mujh ko raat bhar rakkhaa
kabhi takiya idhar rakkhaa kabhi takiya udhar rakkhaa