Shayari
ajiib vaqt hai ab doston ke chaaqu ko
mire qalam ki nahin ungliyon ki hasrat hai
rah-e-hayaat kaa main aisaa ik musaafir thaa
ki jaise shahr ki saDkon se bus kaa rishta thaa
رہ حیات کا میں ایسا اک مسافر تھا
کہ جیسے شہر کی سڑکوں سے بس کا رشتہ تھا
रह-ए-हयात का मैं ऐसा इक मुसाफ़िर था
कि जैसे शहर की सड़कों से बस का रिश्ता था

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaaT chukaa huun
ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai