Shayari
ab zabaan tak aa gaiin hai talkhiyaan
ab hamein fauran nikalnaa chaahiye
tiri nazron se guzri rahguzar bhi
hazaaron manzilon kaa raasta hai
تری نظروں سے گزری رہ گزر بھی
ہزاروں منزلوں کا راستہ ہے
तिरी नज़रों से गुज़री रहगुज़र भी
हज़ारों मंज़िलों का रास्ता है

ab zabaan tak aa gaiin hai talkhiyaan
ab hamein fauran nikalnaa chaahiye
shisha-sifat the aap aur shisha-sifat the ham
bikhre hue se aap hain bikhre hue se ham
kisi bhi hashr se mahrum hi rahaa vo bhi
miri tarah kaa jo kirdaar thaa kahaani mein
abhi manzar badalte hi badal jaaeinge sab chehre
bichhaDte vaqt kaa gham hai abhi tu nam na kar aankhein
khudaa se use maang kar dekhte hain
phir apni duaa kaa asar dekhte hain
chiTiyaan chalne lagi hain piiTh mein
ab tumhaaraa tiir chalnaa chaahiye
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
dimaagh un ke tajassus mein jism ghar mein rahaa
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein rahaa