Shayari
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
kisi khayaal ki sarshaari mein jaari-o-saari yaari mein
apne-aap koi aaegaa aur ban jaaegaa mehmaan
کسی خیال کی سرشاری میں جاری و ساری یاری میں
اپنے آپ کوئی آئے گا اور بن جائے گا مہمان
किसी ख़याल की सरशारी में जारी-ओ-सारी यारी में
अपने-आप कोई आएगा और बन जाएगा मेहमान

duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
us se bichhaD ke ek usi kaa haal nahin main jaan sakaa
vaise khabar to har pal mujh tak duniyaa bhar ki aati rahi
ham itnaa chaahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur vo meri misaal ho ke rahaa
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main aise jamghaTe mein kho gayaa huun
jahaan mere sivaa koi nahin hai
har shakhs bichhaD chukaa hai mujh se
kyaa jaaniye kis ko DhunDhtaa huun
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ghair ho koi to us se khul ke baatein kijiye
doston kaa doston se hi gila achchhaa nahin
urdu hai jis kaa naam hamaari zabaan hai
duniyaa ki har zabaan se pyaari zabaan hai
ek dard ki lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latif jazbon ki khuun se aabyaari ki
maqaam 'faiz' koi raah mein jachaa hi nahin
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale
ai dil phir un se dosti ki
o khaana-kharaab phir vahi ki