Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
baDe baa-vafaa the mire yaar sab
musibat mein jab tak pukaaraa na thaa
بڑے باوفا تھے مرے یار سب
مصیبت میں جب تک پکارا نہ تھا
बड़े बा-वफ़ा थे मिरे यार सब
मुसीबत में जब तक पुकारा न था

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jo munh se kahte hain kuchh aur karte hain kuchh aur
vahi zamaana mein kuchh ikhtiyaar rakhte hain
kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae
hai ayaan ru-e-yaar aankhon mein
chhaai hai kyaa bahaar aankhon mein
samajh liyaa thaa tujhe dost ham ne dhoke mein
so aaj se tujhe baar-e-digar samajhte hain
sab doston se mujh ko ziyaada 'aziz hai
aisaa bhi ek shakhs mire dushmanon mein hai