Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
chalo ki ham bhi zamaane ke saath chalte hain
nahin badaltaa zamaana to ham badalte hain
چلو کہ ہم بھی زمانے کے ساتھ چلتے ہیں
نہیں بدلتا زمانہ تو ہم بدلتے ہیں
चलो कि हम भी ज़माने के साथ चलते हैं
नहीं बदलता ज़माना तो हम बदलते हैं

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aankhon se khvaab dil se tamannaa tamaam-shud
tum kyaa gae ki shauq-e-nazaara tamaam-shud
un ke dil ki kudurat aur baDhi
zikr kijiye agar safaai kaa
kis ko thi khabar is mein taDakh jaaegaa dil bhi
ham khush the bahut sehn mein divaar uThaa kar
jaan agar ho jaan to kyun-kar na ho tujh par nisaar
dil agar ho dil tiri surat pe shaidaa kyuun na ho