Shayari
ye miraa ilhaam hai vo miri tadbir hai
main na junun kaa asiir main na khirad kaa ghulaam
shabaab tum se karegaa jo tum ne ham se kiyaa
tumhaaraa husn bhi niklegaa bevafaa mausam
شباب تم سے کرے گا جو تم نے ہم سے کیا
تمہارا حسن بھی نکلے گا بے وفا موسم
शबाब तुम से करेगा जो तुम ने हम से किया
तुम्हारा हुस्न भी निकलेगा बेवफ़ा मौसम

ye miraa ilhaam hai vo miri tadbir hai
main na junun kaa asiir main na khirad kaa ghulaam
ek ham tinon mein mar jaae to chhap jaaegi
likh to rakkhi hai tiri prem kahaani main ne
sajda kahaan lagaa hai hamaari jabin kaa
charchaa hai phir falak pe tire dar-nashin kaa
aayaa thaa sun ke shahr mein daulat ki rel-pel
kal mill mein kaT ke mar gayaa beTaa kisaan kaa
sulag rahaa hai chaman mein bahaar kaa mausam
kisi hasin ko aavaaz do khudaa ke liye
mire to phuul bhi tum ho sabaa bhi khushbu bhi
nahin ho tum to nahin mere kaam kaa mausam
de kar fareb mujh ko gayaa thaa vo shokh-tan
khaa kar fareb lauTaa to siine se lag gayaa
ghair ne tum ko jaan kahaa samjhe bhi kuchh ki kyaa kahaa
yaani ki bevafaa kahaa jaan kaa e'tibaar kyaa
fareb-e-abr-e-karam bhi baDaa sahaaraa hai
balaa se nakhl-e-tamannaa khizaan-rasida nahin
kuchh din ke baa'd us se judaa ho gae 'munir'
us bevafaa se apni tabiat nahin mili
jaan kar us but kaa ghar kaaba ko sajda kar liyaa
ai barahman mujh ko baitullaah ne dhokaa diyaa
chalaa thaa zikr zamaane ki bevafaai kaa
so aa gayaa hai tumhaaraa khayaal vaise hi