Shayari
kyuun chamak uThti hai bijli baar baar
ai sitamgar le na angDaai bahut
aaj kuaan bhi chikh uThaa hai
kisi ne patthar maaraa hogaa
آج کنواں بھی چیخ اٹھا ہے
کسی نے پتھر مارا ہوگا
आज कुआँ भी चीख़ उठा है
किसी ने पत्थर मारा होगा

kyuun chamak uThti hai bijli baar baar
ai sitamgar le na angDaai bahut
sher guphaa se niklegaa
shor machegaa jangal mein
ro paDin aankhein bahut 'saahil' miri
jab kisi ne haath sar par rakh diyaa
bakri ''mein-mein'' karti hai
bakraa zor lagaataa hai
kal talak sahraa basaa thaa aankh mein
ab magar kis ne samundar rakh diyaa
ab ke vo aise safar par kyaa gae
phir dobaara lauT kar aae nahin
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein