Shayari
manzilein paanv pakaDti hain Thaharne ke liye
shauq kahtaa hai ki do chaar qadam aur sahi
kal to is aalam-e-hasti se guzar jaanaa hai
aaj ki raat tiri bazm mein ham aur sahi
کل تو اس عالم ہستی سے گزر جانا ہے
آج کی رات تری بزم میں ہم اور سہی
कल तो इस आलम-ए-हस्ती से गुज़र जाना है
आज की रात तिरी बज़्म में हम और सही

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
nai nahin hai ye tanhaai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaraagar se Dar jaanaa
giraa thaa bojh koi sar se mere
usi ko phir uThaanaa chaahtaa huun
ye maanaa shisha-e-dil raunaq-e-baazaar-e-ulfat hai
magar jab TuuT jaataa hai to qimat aur hoti hai