Shayari
qadam baDhaa ki abhi duur hai tiri manzil
shikast-e-aabla-paai hai khaar ki had tak
nigaah mein koi manzil na koi samt-e-safar
havaa khamosh hai kashti kaa baadbaan chup hai
نگاہ میں کوئی منزل نہ کوئی سمت سفر
ہوا خموش ہے کشتی کا بادباں چپ ہے
निगाह में कोई मंज़िल न कोई सम्त-ए-सफ़र
हवा ख़मोश है कश्ती का बादबाँ चुप है

qadam baDhaa ki abhi duur hai tiri manzil
shikast-e-aabla-paai hai khaar ki had tak
mili to un se magar fursat-e-nazar na mili
phir us ke baa'd khud apni hamein khabar na mili
aa tujhe meri qasam mushkil miri aasaan kar
ziist kaa har marhala dushvaar hai tere baghair
miraa maqaam har ik dil mein hai judaagaana
agar yaqin nahin huun to ehtimaal huun main
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
jo nahin hai vaqt kaa ham-safar use subh-o-shaam ki kyaa khabar
ho kisi kaa vaqt pe kyaa asar bhalaa vaqt kis kaa ghulaam hai
kisi alaav kaa shoala bhaDak ke boltaa hai
safar kaThin hai magar ek baar aakhiri baar