Shayari
aankh nam rukh par udaasi dard bhi dil ke qarib
kyaa mohabbat aa gai hai apni manzil ke qarib
S
Saifi Azmihar lafz-e-aarzu mein jhalak un ki aa gai
un ko nikaaltaa hi rahaa daastaan se main
ہر لفظ آرزو میں جھلک ان کی آ گئی
ان کو نکالتا ہی رہا داستاں سے میں
हर लफ़्ज़-ए-आरज़ू में झलक उन की आ गई
उन को निकालता ही रहा दास्ताँ से मैं
aankh nam rukh par udaasi dard bhi dil ke qarib
kyaa mohabbat aa gai hai apni manzil ke qarib
kaash itnaa hi samajh lete ye ahl-e-kaarvaan
faasle baDh jaate hain sahmi hui raftaar se
khushi se phulein na ahl-e-sahraa abhi kahaan se bahaar aai
abhi to pahunchaa hai aablon tak miraa mazaaq-e-barhana-paai
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
dekh rahaa thaa jaate jaate hasrat se
soch rahaa hogaa main us ko rokungaa
naa-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
dil bhi rakhtaa huun kuchh tamannaa bhi
muntazir huun tire ishaaron kaa
kahnaa kisi kaa subh-e-shab-e-vasl naaz se
hasrat tumhaari jaan hamaari nikal gai