Shayari
kisi bhi darja ri'aayat nahin hai vahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagaane the
log kahte hain mujhe is liye tanhaai-pasand
mujh se paagal ko kahin paas biThaanaa na paDe
لوگ کہتے ہیں مجھے اس لئے تنہائی پسند
مجھ سے پاگل کو کہیں پاس بٹھانا نہ پڑے
लोग कहते हैं मुझे इस लिए तन्हाई-पसंद
मुझ से पागल को कहीं पास बिठाना न पड़े

kisi bhi darja ri'aayat nahin hai vahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagaane the
manaayaa jaa rahaa hai gham tumhaaraa
puraani film dekhi jaa rahi hai
hamaare khel ki guDiyaa tumhi ho
tumhaare khel kaa guDDaa nayaa hai
khuun se mazlum ke ho to gae raushan charaagh
raushni aisi hui phir shahr andhaa ho gayaa
faqat ye lakDi nahin hai tumhaari baisaakhi
shajar ke haath kaTe hain ise banaane mein
'ajib Dhang se mujh ko mili hai aazaadi
parinda pinjre mein pinjra havaa mein rakkhaa gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
puchhaa jo shabaab-e-bashari chashm-e-fanaa se
palkon ne sadaa di ki bharosaa nahin pal kaa
kis ne ki hain ye botalein khaali
pi gayaa kaun apni tanhaai