Shayari
aab-e-hairaan par kisi kaa aks jaise jam gayaa
aankh mein bas ek lamhe ke liye Thahraa khayaal
safar ki shaam sitaara nasib kaa jaagaa
phir aasmaan-e-mohabbat pe ik hilaal khilaa
سفر کی شام ستارہ نصیب کا جاگا
پھر آسمان محبت پہ اک ہلال کھلا
सफ़र की शाम सितारा नसीब का जागा
फिर आसमान-ए-मोहब्बत पे इक हिलाल खिला

aab-e-hairaan par kisi kaa aks jaise jam gayaa
aankh mein bas ek lamhe ke liye Thahraa khayaal
kyaa karein aankh agar us se sivaa chaahti hai
ye jahaan-e-guzaraan aaina-khaana hi sahi
shaairi jhuuT sahi ishq fasaana hi sahi
zinda rahne ke liye koi bahaana hi sahi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
yak-ba-yak tark na karnaa thaa mohabbat mujh se
khair jis tarah se aataa thaa vo aataa jaataa
kaamyaabi ki duaaein mujhe dene vaale
main tire ishq mein naakaam huaa jaataa huun
adaavaton mein jo khalq-e-khudaa lagi hui hai
mohabbaton ko koi bad-duaa lagi hui hai
yahi to e'tibaar-e-shab-kada hai
miraa haasil hai ye kaar-e-ziyaan ishq