Shayari
kuchh aisaa ho ki tasviron mein jal jaae tasavvur bhi
mohabbat yaad aaegi to shikve yaad aaeinge
fikr o ehsaas ke tapte hue manzar tak aa
mere lafzon mein utar kar mire andar tak aa
فکر و احساس کے تپتے ہوئے منظر تک آ
میرے لفظوں میں اتر کر مرے اندر تک آ
फ़िक्र ओ एहसास के तपते हुए मंज़र तक आ
मेरे लफ़्ज़ों में उतर कर मिरे अंदर तक आ

kuchh aisaa ho ki tasviron mein jal jaae tasavvur bhi
mohabbat yaad aaegi to shikve yaad aaeinge
baadshaahat ke maze hain khaaksaari mein 'salim'
ye nazaara yaar ke kuche mein rah ke dekhnaa
nuur ki shaakh se TuuTaa huaa pattaa huun main
vaqt ki dhuup mein maadum huaa jaataa huun
vaqt ke sahraa mein nange paanv Thahre ho 'salim'
dhuup ki shiddat yakaayak baDh na jaae chal paDo
aaj divaane kaa zauq-e-did puuraa ho gayaa
tujh ko dekhaa aur us ke baa'd andhaa ho gayaa
'ghaalib'-e-daanaa se puchho ishq mein paD kar salim
ek maaqul aadmi kaise nikammaa ho gayaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
mazhabi bahs main ne ki hi nahin
faaltu aql mujh mein thi hi nahin
yahaan ki auraton ko ilm ki parvaa nahin be-shak
magar ye shauharon se apne be-parvaa nahin hotin
ishq farmaa liyaa to sochtaa huun
kyaa musibat paDi hui thi mujhe
sirf zindon hi ko fikr-e-aish-o-aasaaish nahin
ab to is duniyaa mein murdon ki bhi gunjaaish nahin