Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tanhaa uThaa luun main bhi zaraa lutf-e-gumrahi
ai rahnumaa mujhe miri qismat pe chhoD de
تنہا اٹھا لوں میں بھی ذرا لطف گمرہی
اے رہنما مجھے مری قسمت پہ چھوڑ دے
तन्हा उठा लूँ मैं भी ज़रा लुत्फ़-ए-गुमरही
ऐ रहनुमा मुझे मिरी क़िस्मत पे छोड़ दे

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ashk-e-gham le ke aakhir kidhar jaaein ham aansuon ki yahaan koi qimat nahin
aap hi apnaa daaman baDhaa dijiye varna moti zamin par bikhar jaaeinge
vaqt ik zarb lagaae to ghazal hoti hai
dard agar dil mein samaae to ghazal hoti hai