Shayari
tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
super rakhtaa huun main bhi aaftaabi saaghar-e-mai ki
mujhe ai abr tegh-e-barq ko chamkaa ke mat dhamkaa
سپر رکھتا ہوں میں بھی آفتابی ساغر مے کی
مجھے اے ابر تیغ برق کو چمکا کے مت دھمکا
सुपर रखता हूँ मैं भी आफ़्ताबी साग़र-ए-मय की
मुझे ऐ अब्र तेग़-ए-बर्क़ को चमका के मत धमका

tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
aataa hai to aa vaada-faraamosh vagarna
har roz kaa ye lait-o-laal jaae to achchhaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
puchhne vaalon ko kyaa kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islaam haqiqat mein hain yaksaan ham ko
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
azal se dil hai sajda mein tire abru ke masjid mein
uThaataa sar nahin ab tak namaazi us ko kahte hain
dil ko maaraa chashm ne abru ki talvaaron se aaj
kyuun bhiDaa thaa jaa ke ye hushiyaar mai-khvaaron se aaj
kaam us ke lab se hai mujhe bint-ul-inab se kyaa
hai aab-e-zindagi bhi to le jaae murda-sho