Shayari
gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
tire hi naam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai vird har ik subh-o-shaam aashiq kaa
ترے ہی نام کی سمرن ہے مجھ کو اور تسبیح
تو ہی ہے ورد ہر اک صبح و شام عاشق کا
तिरे ही नाम की सिमरण है मुझ को और तस्बीह
तू ही है विर्द हर इक सुब्ह-ओ-शाम आशिक़ का

gale mein tu ne vahaan motiyon kaa pahnaa haar
yahaan pe ashk-e-musalsal gale kaa haar rahaa
aataa hai to aa vaada-faraamosh vagarna
har roz kaa ye lait-o-laal jaae to achchhaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
sar-bulandi ko yahaan dil ne na chaahaa munim
varna ye khema-e-aflaak puraanaa kyaa thaa
puchhne vaalon ko kyaa kahiye ki dhoke mein nahin
kufr o islaam haqiqat mein hain yaksaan ham ko
main kyaa jaanun qalaq kyaa chiiz hai par itnaa jaanun huun
mile hai dil ko pahlu mein mire shaam o sahar koi
ik ham ki ham ko subh se hai shaam ki khushi
ik tum ki tum ko shaam kaa dhaDkaa sahar se hai
niind aati nahin to subah talak
gard-e-mahtaab kaa safar dekho
subh savere ran paDnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raaton raat chalaa jaae jis ko jaanaa hai
shab-e-daraaz kaa hai qissa mukhtasar 'kaifi'
hui sahar ke ujaalon mein gum charaagh ki lau
saugand hai hasrat mujhe ejaaz-e-sukhan ki
ye sehr hain jaadu hain na ashaar hain tere