Shayari
naala-e-bulbul se ghunchon ke kaleje phaT gae
gulsitaan vaale samajhte hain ki gul khandaan hue
S
Shahab Lakhnavimai-khaana-e-hasti mein muflis ki javaani kyaa
ik laghzish-e-mastaana do-chaar qadam jaise
مے خانۂ ہستی میں مفلس کی جوانی کیا
اک لغزش مستانہ دو چار قدم جیسے
मय-ख़ाना-ए-हस्ती में मुफ़्लिस की जवानी क्या
इक लग़्ज़िश-ए-मस्ताना दो-चार क़दम जैसे
naala-e-bulbul se ghunchon ke kaleje phaT gae
gulsitaan vaale samajhte hain ki gul khandaan hue
saamne mohabbat ke hech hai siyaasat bhi
jab dimaagh thak jaae dil se kaam le ai dost
kaun ehsaan-e-naa-khudaai le
is se behtar to Duub jaanaa hai
dayaar-e-ghair mein luTte to koi baat na thi
luTe vatan mein to sadma huaa na jaane kyuun
aur baDhte to khudaai kaa bhi daave karte
khair guzri ki ye but rah gae but-khaane mein
karo gunaah-e-mohabbat tamaam umr 'shahaab'
khudaa ki di hui neamat buton ke kaam aae
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
khamosh rahne ki aadat bhi maar deti hai
tumhein ye zahr to andar se chaaT jaaegaa
sab apne apne tariqe se bhiik maangte hain
koi ba-naam-e-mohabbat koi ba-jaama-e-ishq
us ne meri shaakhon ko is tarah numu bakhshi
zakhm ke khileinge phuul dard kaa chaman hogaa
ye daagh-e-ishq jo miTtaa bhi hai chamaktaa bhi hai
ye zakhm hai ki nishaan hai mujhe nahin maalum