Shayari
rang be-rang huaa Duub gaiin aavaazein
ret hi ret hai ab laash uThaai jaae
khuun kaa sailaab thaa jo sar se abhi guzraa hai
baam-o-dar ab bhi sisakte hain magar ghar chup hain
خوں کا سیلاب تھا جو سر سے ابھی گزرا ہے
بام و در اب بھی سسکتے ہیں مگر گھر چپ ہیں
ख़ूँ का सैलाब था जो सर से अभी गुज़रा है
बाम-ओ-दर अब भी सिसकते हैं मगर घर चुप हैं

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
saliqa bolne kaa ho to bolo
nahin to chup bhali hai lab na kholo
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa
tumhaare khat mein nazar aai itni khaamoshi
ki mujh ko rakhne paDe apne kaan kaaghaz par
tum ne chhuaa to dil ye dhaDkaa miraa vagarna
patthar kaa ho gayaa thaa khaamosh baiThe baiThe
na kaho tum bhi kuchh na ham bolein
aao khaamoshiyon ke lab kholein