Shayari
shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
udaas chhoD gae kashtiyon ko saahil par
gilaa karein bhi to kyaa paar utarne vaalon se
اداس چھوڑ گئے کشتیوں کو ساحل پر
گلا کریں بھی تو کیا پار اترنے والوں سے
उदास छोड़ गए कश्तियों को साहिल पर
गिला करें भी तो क्या पार उतरने वालों से

shaayad isi baais huiin patthar miri aankhein
jo kuchh ki mujhe dekhnaa thaa dekh liyaa hai
zabaanein thak chukin patthar hue kaan
kahaani an-kahi thi an-kahi hai
ek se manzar dekh dekh kar aankhein dukhne lagti hain
is raste par peD bahut hain aur haraa koi bhi nahin
khule asraar us par jism ke aahista aahista
bahut din mein use baatein na karne kaa hunar aayaa
bharpur nahin hain kisi chehre ke khad-o-khaal
dekhaa nahin vo chaand jo puuraa nazar aae
ab to insaan ki azmat bhi koi chiiz nahin
log patthar ko khudaa maan liyaa karte the
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
baat niklegi to phir duur talak jaaegi
log be-vajh udaasi kaa sabab puchheinge
main hikaayat-e-dil-e-be-navaa mein ishaarat-e-gham-e-jaavidaan
main vo harf-e-aakhir-e-motabar jo likhaa gayaa na paDhaa gayaa
taarikh bataaegi vo qatra hai ki dariyaa
aansu hai abhi vaqt ke qadmon mein paDaa hai