Shayari
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
lete hain samar shaakh-e-samarvar ko jhukaa kar
jhukte hain sakhi vaqt-e-karam aur ziyaada
لیتے ہیں ثمر شاخ ثمرور کو جھکا کر
جھکتے ہیں سخی وقت کرم اور زیادہ
लेते हैं समर शाख़-ए-समरवर को झुका कर
झुकते हैं सख़ी वक़्त-ए-करम और ज़ियादा

'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mullaa
un ko mai-khaane mein le aao sanvar jaaeinge
ek aansu ne Duboyaa mujh ko un ki bazm mein
buund bhar paani se saari aabru paani hui
maalum jo hotaa hamein anjaam-e-mohabbat
lete na kabhi bhuul ke ham naam-e-mohabaat
behtar to hai yahi ki na duniyaa se dil lage
par kyaa karein jo kaam na be-dil-lagi chale
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naaz-o-nazaakat vaale
in dinon garche dakan mein hai baDi qadr-e-sukhan
kaun jaae 'zauq' par dilli ki galiyaan chhoD kar
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
aankhon ne aansuon kaa tabarruk luTaa diyaa
dil ke mazaar par tiri yaadon kaa ‘urs hai
kisi ke sitam is qadar yaad aae
zabaan thak gai mehrbaan kahte kahte
'ajab ehsaas hai ki jab use dekhun
mujhe pahli mohabbat yaad aati hai
jin ki yaadon se raushan hain meri aankhein
dil kahtaa hai un ko bhi main yaad aataa huun
is se ziyaada daur-e-junun ki khabar nahin
kuchh be-khabar se aap the kuchh be-khabar se ham