Shayari
zabaan zabaan pe shor thaa ki raat khatm ho gai
yahaan sahar ki aas mein hayaat khatm ho gai
M
Mahtab Zafarjin ki hasrat mein dil-e-rusvaa ne gham khaae bahut
sang ham par in darichon ne hi barsaae bahut
جن کی حسرت میں دل رسوا نے غم کھائے بہت
سنگ ہم پر ان دریچوں نے ہی برسائے بہت
जिन की हसरत में दिल-ए-रुस्वा ने ग़म खाए बहुत
संग हम पर इन दरीचों ने ही बरसाए बहुत
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khud mire aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-aarzu mein maah-o-akhtar kuchh nahin
tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yaar tujh se kahein
vo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamaanaa hai
ye dil-navaaz udaasi bhari bhari palkein
are in aankhon mein kyaa hai suno dikhaao mujhe