Shayari
jin ke baghair lagti thi be-kaar zindagi
un se hi baat karne ki hasrat nahin rahi
itni si zindagi mein itni laDaaiyaan
kyaa ho gayaa hai ham ko kyaa kar rahe hain ham
اتنی سی زندگی میں اتنی لڑائیاں
کیا ہو گیا ہے ہم کو کیا کر رہے ہیں ہم
इतनी सी ज़िंदगी में इतनी लड़ाइयाँ
क्या हो गया है हम को क्या कर रहे हैं हम

jin ke baghair lagti thi be-kaar zindagi
un se hi baat karne ki hasrat nahin rahi
mujh ko uljhan si hone lagti hai
baat jab der tak nahin hoti
'aql-o-daanish shu'ur kuchh bhi nahin
aise jaahil se kaun baat kare
chaae piine ki lat chhuDaane ko
jaane kitne hi cup badal Daale
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein