Shayari
dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
nahin bujhti hai pyaas aansu siin lekin
karein kyaa ab to yaan paani yahi hai
نہیں بجھتی ہے پیاس آنسو سیں لیکن
کریں کیا اب تو یاں پانی یہی ہے
nahīñ bujhtī hai pyaas aañsū siiñ lekin
kareñ kyā ab to yaañ paanī yahī hai

dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskha-e-ishq kaa
ki kitaab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dard bakhshaa chain chhinaa dil ke TukDe kar diye
haae kis zaalim pe main ne bhi bharosa kar liyaa
paan ke Thele hotel logon kaa jamghaT
apne tanhaa hone kaa ehsaas bhi kyaa
sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diyaa
jo sab ko chhoD ke tanhaa khaDaa hai mere saath