Shayari
tiri abru hai mehraab-e-mohabbat
namaaz-e-ishq mere par hui farz
pakDaa huun kinaara-e-judaai
jaari mire ashk ki nadi hai
پکڑا ہوں کنارۂ جدائی
جاری مرے اشک کی ندی ہے
pakḌā huuñ kināra-e-judā.ī
jaarī mire ashk kī nadī hai

tiri abru hai mehraab-e-mohabbat
namaaz-e-ishq mere par hui farz
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam
mu-e-mizhgaan muqtadi ho mil ke karte hain namaaz
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
sab kaa alag andaaz thaa sab rang rakhte the judaa
rahnaa sabhi ke saath thaa so khud ko paani kar liyaa
shaayad kuchh majburi baDhti jaati hai
tujh se meri duuri baDhti jaati hai
tumhein to naaz bahut doston pe thaa 'jaalib'
alag-thalag se ho kyaa baat ho gai pyaare
amn thaa pyaar thaa mohabbat thaa
rang thaa nuur thaa navaa thaa firaaq
shab-e-visaal lagaayaa jo un ko siine se
to hans ke bole alag baiThiye qarine se
ghar vaale mujhe ghar par dekh ke khush hain aur vo kyaa jaanein
main ne apnaa ghar apne maskan se alag kar rakkhaa hai