Shayari
hamaari miTTi se kyaa banegaa
bahut banaa to khudaa banegaa
main jaantaa huun tiri ruuh ki talab jaanaan
tujhe badan ki taraf se nahin chuungaa main
میں جانتا ہوں تری روح کی طلب جاناں
تجھے بدن کی طرف سے نہیں چھوؤں گا میں
मैं जानता हूँ तिरी रूह की तलब जानाँ
तुझे बदन की तरफ़ से नहीं छुऊँगा मैं

kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai