Shayari
dosto DhunD ke ham saa koi pyaasaa laao
ham to aansu bhi jo piite hain to paani ki tarah
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
وہاں ہمارا کوئی منتظر نہیں پھر بھی
ہمیں نہ روک کہ گھر جانا چاہتے ہیں ہم
वहाँ हमारा कोई मुंतज़िर नहीं फिर भी
हमें न रोक कि घर जाना चाहते हैं हम

dosto DhunD ke ham saa koi pyaasaa laao
ham to aansu bhi jo piite hain to paani ki tarah
dariyaa dikhaai detaa hai har ek reg-zaar
shaayad ki in dinon mujhe shiddat ki pyaas hai
musallaa rakhte hain sahbaa-o-jaam rakhte hain
faqir sab ke liye intizaam rakhte hain
sameT bikhre hue kaaghzaat ko apne
koi sadaa tujhe vaapas bulaane vaali hai
sab bichhDe saathi mil jaaein murjhaaein chehre khil jaaein
sab chaak dilon ke sil jaaein koi aisaa kaam karo 'vaali'
main jis kaa javaab na de paaun
aisaa bhi koi savaal karnaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
hai khushi intizaar ki har dam
main ye kyuun puchhun kab mileinge aap
muntazir sab mire zavaal ke hain
mere ahbaab bhi kamaal ke hain
kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe
bajaae siine ke aankhon mein dil dhaDaktaa hai
ye intizaar ke lamhe ajiib hote hain