Shayari
mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
غرور بھی جو کروں میں تو عاجزی ہو جائے
خودی میں لطف وہ آئے کہ بے خودی ہو جائے
ġhurūr bhī jo karūñ maiñ to ājizī ho jaa.e
ḳhudī meñ lutf vo aa.e ki be-ḳhudī ho jaa.e

mai-khaane mein mazaar hamaaraa agar banaa
duniyaa yahi kahegi ki jannat mein ghar banaa
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
ham jaante hain lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd mein kahaan jo mazaa hai udhaar mein
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
ham jaam-e-mai ke bhi lab-e-tar chuste nahin
chaskaa paDaa huaa hai tumhaari zabaan kaa
aisi hi intizaar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaaq mein apni basar na ho
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
Daraate ho hamein kyaa shaikh tum roz-e-qayaamat se
dar-e-jaanaan pe ham ne hashr barpaa khuub dekhaa hai
ye bhi koi zindagi mein zindagi hai ham-nafas
dil kahin hai ham kahin hain aur jaanaana kahin
aankhon ko tamanna hai khaak-e-dar-e-jaanaan ki
khaak-e-dar-e-har-kucha iksir nahin hoti