Shayari
phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
کچھ پھولوں کی خاطر بھی کچھ پھولوں کا
سب سے اچھا رنگ چرانا پڑتا ہے
कुछ फूलों की ख़ातिर भी कुछ फूलों का
सब से अच्छा रंग चुराना पड़ता है

phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main huun kahaan
aakhiri baar tire gaanv mein dekhaa gayaa huun
ham ghulaami ko muqaddar ki tarah jaante hain
ham tiri jiit tiri maat se nikle hue hain
charaagh dafn kiye the 'nadim' qabron mein
zamin se chaand numudaar ho gae saahib
ye tiri guftugu kaa lamha hai
is ghaDi hai miraa khudaa mire paas
tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyaar aa gayaa
chumaa nahin tumhein miyaan garche maqaam thaa zarur
ungliyaan pher mere baalon mein
ye miraa dard-e-sar nahin jaataa
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein
koi puraanaa khat kuchh bhuli-bisri yaad
zakhmon par vo lamhe marham hote hain
us but-e-kaafir kaa zaahid ne bhi naam aisaa japaa
daana-e-tasbih har ik raam-daanaa ho gayaa
ku-e-jaanaan mein na ghairon ki rasaai ho jaae
apni jaagir ye yaa-rab na paraai ho jaae