Shayari
jab ye panne kitaabon ke gal jaaeinge
mol bhi kyaa kahaani ke Dhal jaaeinge
un ko har zulm par du'aaein diin
sabr ki aur intihaa kyaa hai
ان کو ہر ظلم پر دعائیں دیں
صبر کی اور انتہا کیا ہے
उन को हर ज़ुल्म पर दु'आएँ दीं
सब्र की और इंतिहा क्या है

jab ye panne kitaabon ke gal jaaeinge
mol bhi kyaa kahaani ke Dhal jaaeinge
ho gae bebas kai ustaad bhi haalaat se
bik rahi chhup-chhup ke yuun har roz bechaari ghazal
mujh ko joDaa hai toD kar khud ko
us ne mujh ko bikhartaa paayaa jab
rok ke apni aankh ke aansu hans kar us ko rukhsat di
tab samjhe hain yaaro ham bhi shahnaai kyaa hoti hai
dekh teri sohbaton kaa kyaa asar aayaa hai aaj
ek aavaara parinda phir se ghar aayaa hai aaj
yuun imtihaan meraa lete rahe masaail
ik haath par thaa dariyaa ik haath par thaa saahil
du'aaein maan ki pahunchaane ko milon-mil jaati hain
ki jab pardes jaane ke liye beTaa nikaltaa hai
labon pe us ke kabhi bad-du'aa nahin hoti
bas ek maan hai jo mujh se khafaa nahin hoti
hai khuub manzar-e-chaara-gari ki ham ne yahaan
duaa ke dar pe hai dekhaa davaa ko sajde mein
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitni auraton ki bad-duaaein saath hain
phir se vo lauT kar nahin aayaa
phir duaa mein asar nahin aayaa
chalegaa tiir jab apni duaa kaa
kaleje dushmanon ke chhaan degaa