Shayari
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aati hai
dil-e-majnun ke dhaDakne ki sadaa aati hai
نجد سے جانب لیلیٰ جو ہوا آتی ہے
دل مجنوں کے دھڑکنے کی صدا آتی ہے
नज्द से जानिब-ए-लैला जो हवा आती है
दिल-ए-मजनूँ के धड़कने की सदा आती है

bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham hai aavaara akele mein bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaan milte-milaate rahiye
ye laash-e-be-kafan 'asad'-e-khasta-jaan ki hai
haq maghfirat kare ajab aazaad mard thaa
gai yak-ba-yak jo havaa palaT nahin dil ko mere qaraar hai
karun us sitam ko main kyaa bayaan miraa gham se siina figaar hai