Shayari
meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
badlaa huaa hai aaj mire aansuo kaa rang
kyaa dil ke zakhm kaa koi Taankaa udhaD gayaa
بدلا ہوا ہے آج مرے آنسوؤ کا رنگ
کیا دل کے زخم کا کوئی ٹانکا ادھڑ گیا
बदला हुआ है आज मिरे आँसुओ का रंग
क्या दिल के ज़ख़्म का कोई टाँका उधड़ गया

meri taqdir mein manzil nahin hai
ghubaar-e-kaarvaan hai aur main huun
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
sitam to ye hai ki vo bhi na ban sakaa apnaa
qubul ham ne kiye jis ke gham khushi ki tarah
raaz-e-gham-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aansu mire daaman mein tumhaare bhi mile hain
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai