Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
tamsil o istiaaraa o tashbih sab durust
us ki misaal kyaa jo adim-ul-misaal ho
تمثیل و استعارا و تشبیہ سب درست
اس کی مثال کیا جو عدیم المثال ہو
तमसील ओ इस्तिआरा ओ तश्बीह सब दुरुस्त
उस की मिसाल क्या जो अदीम-उल-मिसाल हो

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
kah rahaa thaa main nahin hai dukh kisi bhi baat kaa
aur chhalak ke gir gayaa ik aansu pichhli raat kaa
vo ki khushbu ki tarah phailaa thaa mere chaar-su
main use mahsus kar saktaa thaa chhu saktaa na thaa
kyaa zaraa saa vaqt badlaa sab ne aankhein pher liin
bebasi par muskuraate hain mire ahbaab dekh