Shayari
shikast-e-saaghar-e-dil ki sadaaein sun rahaa huun main
zaraa puchho to saaqi se ki paimaanon pe kyaa guzri
V
Vahshi KanpurighaTaaein uudi uudi mai-kada bar-dosh-e-fasl-e-gul
na jaane laghzish-e-tauba se imanon pe kyaa guzri
گھٹائیں اودی اودی میکدہ بر دوش فصل گل
نہ جانے لغزش توبہ سے ایمانوں پہ کیا گزری
घटाएँ ऊदी ऊदी मै-कदा बर-दोश-ए-फ़स्ल-ए-गुल
न जाने लग़्ज़िश-ए-तौबा से ईमानों पे क्या गुज़री
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
main huun magar aaj us gali ke sabhi dariche khule hue hain
ki ab main aazaad ho chukaa huun tamaam aaankhon ke daaeron se