Shayari
ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
tujh se kuchh aur ta'alluq bhi zaruri hai miraa
ye mohabbat to kisi vaqt bhi mar sakti hai
تجھ سے کچھ اور تعلق بھی ضروری ہے مرا
یہ محبت تو کسی وقت بھی مر سکتی ہے
तुझ से कुछ और त'अल्लुक़ भी ज़रूरी है मिरा
ये मोहब्बत तो किसी वक़्त भी मर सकती है

ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai
zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
aisi ghurbat ko khudaa ghaarat kare
phuul bhejvaane ki gunjaaish na ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hui
khayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyaa
sach kahaa hai ki ba-ummid hai duniyaa qaaim
dil-e-hasrat-zada bhi teraa tamannaai hai
mere baghal mein rah ke mujhi ko kiyaa zalil
nafrat si ho gai dil-e-khaana-kharaab se
arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahin rahaa