Shayari
is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
logo ham to ek hi surat mein hathiyaar uThaate hain
jab dushman ho apne jaisaa khud-sar bhi aur ham-sar bhi
لوگو ہم تو ایک ہی صورت میں ہتھیار اٹھاتے ہیں
جب دشمن ہو اپنے جیسا خود سر بھی اور ہمسر بھی
लोगो हम तो एक ही सूरत में हथियार उठाते हैं
जब दुश्मन हो अपने जैसा ख़ुद-सर भी और हम-सर भी

is liye main ne muhaafiz nahin rakkhe apne
mire dushman mire is jism se baahar kam hain
ai shahr-e-sitam chhoD ke jaate hue logo
ab raah mein koi bhi madina nahin aataa
usi ne sab se pahle haar maani
vahi sab se dilaavar lag rahaa thaa
der lagti hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne mein hamein bhuul chukaa hotaa hai
ham ne ghar ki salaamti ke liye
khud ko ghar se nikaal rakkhaa hai
hamaare naam ki takhti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banaae gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaaron ne bu-e-gul se bhi kaanTaa banaa diyaa
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the
ye vaqt kaifiyaat se bhartaa nahin kabhi
ye jaam ikhtiyaar nahin kar rahaa huun main
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye