Shayari
uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
gul ghunche aaftaab shafaq chaand kahkashaan
aisi koi bhi chiiz nahin jis mein tu na ho
گل غنچے آفتاب شفق چاند کہکشاں
ایسی کوئی بھی چیز نہیں جس میں تو نہ ہو
गुल ग़ुंचे आफ़्ताब शफ़क़ चाँद कहकशाँ
ऐसी कोई भी चीज़ नहीं जिस में तू न हो

uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
baad taklif ke raahat hai yaqini 'vaahid'
raat kaa aanaa hi paighaam-e-sahar hotaa hai
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'vaahid'
unhin ke naam hain duniyaa mein jin ke kaam achchhe hain
aazaad to barson se hain arbaab-e-gulistaan
aai na magar taaqat-e-parvaaz abhi tak
hai shaam-e-avadh gesu-e-dildaar kaa partav
aur subh-e-banaras hai rukh-e-yaar kaa partav
shakhsiyyat-e-fankaar muamma nahin 'vaahid'
fan hi mein huaa kartaa hai fankaar kaa partav
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa
ye soch lo khushbu ko taras jaaoge ek din
phulon ko siyaasat kaa hunar de to rahe ho
gae vo din ki shikve the jahaan ke
ab apnaa hi gila hai aur main huun