Shayari
tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa
jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa
raah-e-mazmun-e-taaza band nahin
taa qayaamat khulaa hai baab-e-sukhan
راہ مضمون تازہ بند نہیں
تا قیامت کھلا ہے باب سخن
राह-ए-मज़मून-ए-ताज़ा बंद नहीं
ता क़यामत खुला है बाब-ए-सुख़न

tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa
jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa
chaahtaa hai is jahaan mein gar bahisht
jaa tamaashaa dekh us rukhsaar kaa
rashk suun tujh labaan ki surkhi par
jigar-e-laala daagh daagh huaa
yaad karnaa har ghaDi tujh yaar kaa
hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa
jise ishq kaa tiir kaari lage
use zindagi kyuun na bhaari lage
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochnaa
phir safar naakaam ho jaae to ghar ki sochnaa
ham raahi iklaute the aur vaqt ki piiTh pe baiThe the
din nikle tak manzil paa li shaam talak rukh moD liyaa