Shayari
raah-e-mazmun-e-taaza band nahin
taa qayaamat khulaa hai baab-e-sukhan
jise ishq kaa tiir kaari lage
use zindagi kyuun na bhaari lage
جسے عشق کا تیر کاری لگے
اسے زندگی کیوں نہ بھاری لگے
जिसे इश्क़ का तीर कारी लगे
उसे ज़िंदगी क्यूँ न भारी लगे

raah-e-mazmun-e-taaza band nahin
taa qayaamat khulaa hai baab-e-sukhan
har zarra us ki chashm mein labrez-e-nur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa
chaahtaa hai is jahaan mein gar bahisht
jaa tamaashaa dekh us rukhsaar kaa
rashk suun tujh labaan ki surkhi par
jigar-e-laala daagh daagh huaa
yaad karnaa har ghaDi tujh yaar kaa
hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa
tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa
jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chhuptaa nahin hai dil mein kabhi raaz ishq kaa
ye aag vo hai jis ko nahin taab sang mein
apni ammi ko mohabbat se jo dekhaa main ne
puuri jannat miri aankhon mein simaT aai hai
mausam hain do hi ishq ke surat koi bhi ho
hain us ke paas aaine hijr-o-visaal ke
zindagi se mohabbat karo TuuT kar
maut kaa kaam dushvaar karte raho