Shayari
ye maanaa shisha-e-dil raunaq-e-baazaar-e-ulfat hai
magar jab TuuT jaataa hai to qimat aur hoti hai
ik halqa-e-ahbaab hai tanhaai bhi us ki
ik ham hain ki har bazm mein tanhaa nazar aae
اک حلقۂ احباب ہے تنہائی بھی اس کی
اک ہم ہیں کہ ہر بزم میں تنہا نظر آئے
इक हल्क़ा-ए-अहबाब है तन्हाई भी उस की
इक हम हैं कि हर बज़्म में तन्हा नज़र आए

ye maanaa shisha-e-dil raunaq-e-baazaar-e-ulfat hai
magar jab TuuT jaataa hai to qimat aur hoti hai
pahchaan lo us ko vahi qaatil hai hamaaraa
jis haath mein TuuTi hui talvaar lage hai
mire fikr o fan ko nai fazaa nae baal-o-par ki talaash hai
jo qafas ko yaas ke phunk de mujhe us sharar ki talaash hai
vo vaade yaad nahin tishna hai magar ab tak
vo vaade bhi koi vaade jo mai pilaa ke liye
kis ne basaayaa thaa aur un ko kis ne yuun barbaad kiyaa
apne lahu ki bu aati hai in ujDe baazaaron se
zabaan tak jo na aae vo mohabbat aur hoti hai
fasaana aur hotaa hai haqiqat aur hoti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main to saail thaa sadaa de ke guzarnaa thaa mujhe
tu ne kyuun shaam talak band daricha na kiyaa
gham-e-dauraan se ab to ye bhi naubat aa gaii, aksar
kisi murghi se Takraai to khud chakraa gaii, aksar
tire bhuul jaane ki aadat ke sadqe
tujhe bhuul jaane ko ji chaahtaa hai