Shayari
bahut se gham chhupe honge hansi mein
zaraa in hansne vaalon ko TaTolo
in aansuon se bhalaa meraa kyaa bhalaa hogaa
vo mere baa'd jo royaa bhi yaad kar ke mujhe
ان آنسوؤں سے بھلا میرا کیا بھلا ہوگا
وہ میرے بعد جو رویا بھی یاد کر کے مجھے
इन आँसुओं से भला मेरा क्या भला होगा
वो मेरे बाद जो रोया भी याद कर के मुझे

bahut se gham chhupe honge hansi mein
zaraa in hansne vaalon ko TaTolo
dil mein jo mar jaae vo hai armaan
jo nikle armaan nahin hai
vaqaar' ai kaash meri umr mein shaamil na ki jaae
vo muddat haan vahi muddat jo guzri un ki furqat mein
kahaan milegi bhalaa is sitamgari ki misaal
taras bhi khaataa hai mujh par tabaah kar ke mujhe
hamaari zindagi kahne ki had tak zindagi hai bas
ye shiraaza bhi dekhaa jaae to barham hai barson se
gharib ko havas-e-zindagi nahin hoti
bas itnaa hai ki vo izzat se marnaa chaahtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye to sochaa hi nahin us ko judaa karte hue
chun liyaa hai gham bhi khushiyon ko rihaa karte hue
baat peDon ki nahin, gham hai parindon kaa 'nadim'
ghonsle jin ke koi toD diyaa kartaa thaa
sun chuke jab haal meraa le ke angDaai kahaa
kis ghazab kaa dard zaalim tere afsaane mein thaa