Shayari
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
kaun hai is rim-jhim ke pichhe chhupaa huaa
ye aansu saare ke saare kis ke hain
کون ہے اس رم جھم کے پیچھے چھپا ہوا
یہ آنسو سارے کے سارے کس کے ہیں
कौन है इस रिम-झिम के पीछे छुपा हुआ
ये आँसू सारे के सारे किस के हैं

isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
hazaar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itnaa thaa ki koi saath rone vaalaa thaa
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi
is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
phir us ki yaad ne dastak dil-e-hazin par di
phir aansuon mein nihaan us ke khad-o-khaal hue
main jangalon ki taraf chal paDaa huun chhoD ke ghar
ye kyaa ki ghar ki udaasi bhi saath ho gai hai
zakhm kab kaa thaa dard uThaa hai ab
us ke jaane kaa dukh huaa hai ab