Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
chehre se jhaaD pichhle baras ki kuduratein
divaar se puraanaa calender utaar de
چہرے سے جھاڑ پچھلے برس کی کدورتیں
دیوار سے پرانا کلینڈر اتار دے
chehre se jhaaḌ pichhle baras kī kudūrateñ
dīvār se purānā calender utaar de

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qaarun ko bhi apnaa khazaanaa nahin miltaa
khud hi jaane lage the aur khud hi
raasta rok kar khaDe hue hain
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
us ko khonaa asl mein us ko paanaa hai
haasil kaa hi partav hai laa-haasil mein