Shayari
samajh sakaa na use main qusur meraa hai
ki mere saamne to vo khuli kitaab rahaa
karne ko kuchh nahin hai nae saal mein 'yashab'
kyon naa kisi se tark-e-mohabbat hi kijiye
کرنے کو کچھ نہیں ہے نئے سال میں یشبؔ
کیوں نا کسی سے ترک محبت ہی کیجیے
करने को कुछ नहीं है नए साल में 'यशब'
क्यों ना किसी से तर्क-ए-मोहब्बत ही कीजिए

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain