Shayari
sainkaDon dilkash bahaarein thiin hamaari muntazir
ham tiri khvaahish mein lekin Thokarein khaate rahe
vo chaandni vo tabassum vo pyaar ki baatein
hui sahar to vo manzar tamaam shab ke gae
وہ چاندنی وہ تبسم وہ پیار کی باتیں
ہوئی سحر تو وہ منظر تمام شب کے گئے
वो चाँदनी वो तबस्सुम वो प्यार की बातें
हुई सहर तो वो मंज़र तमाम शब के गए

bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht