Shayari
rahtaa huun main jitnaa saath sab ke
lagtaa hai akelaa ho gayaa huun
aakhiri baar mulaaqaat to kar li hai magar
silsila apni mohabbat kaa kahaan aakhiri hai
آخری بار ملاقات تو کر لی ہے مگر
سلسلہ اپنی محبت کا کہاں آخری ہے
आख़िरी बार मुलाक़ात तो कर ली है मगर
सिलसिला अपनी मोहब्बत का कहाँ आख़िरी है

rahtaa huun main jitnaa saath sab ke
lagtaa hai akelaa ho gayaa huun
main apne aap mein taqsim hone lagtaa huun
use kaho ki mire saamne na aayaa kare
kabhi kabhi to miraa ghar bhi mujh se puchhtaa hai
ki is jahaan mein koi teraa ghar bhi hai ki nahin
inhi jhuke hue peDon se guftugu hai miri
janaab mere buzurgon se guftugu hai miri
zindagi kitne saliqe se guzaaraa hai tujhe
muskuraate bhi rahe zakhm bhi khaate rahe ham
puuri ho jaati agar koi kahaani hoti
ye mohabbat hai miyaan is mein kasak rahti hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'bedaar' raah-e-ishq kisi se na tai hui
sahraa mein qais koh mein farhaad rah gayaa
mohabbat aise ki 'bedaar' sakht mushkil hai
jo apni jaan se guzre vo us ki chaah kare
sab luTaa ishq ke maidaan mein uryaan aayaa
rah gayaa paas mire daaman-e-sahraa baaqi
zaraa baahon ke halqe aur kas lo
mohabbat saans lenaa chaahti hai